Saturday, September 15, 2012

Ghair allaah se madad - From quraan

Or allaah k siwa apne sare himayato ko bulalo - Albaqara:23
Is me kuffar ko dawat di gai hai k quraan ki misal ek surat bana kar le ao or apni imdad k liye apne himayato ko bulalo- Ghir allaah c madad lene ki ijazat di gai.

Kaha maseeh ne kon hai jo madad kare meri taraf allah ki kaha hawariyo ne ham madad karenge allaah k deen ki-Al imraan:52
is me farmaya gaya k hazrat isaa alaihi salaam ne apne hawariyo c khitaab karke farmaya k mera madadgaar kon hai hazrat maseeh ne ghair allaah c madad talab ki.

madad karo ek dusre ki upar neek kamo k or taqwa k or na madad karo ek dusre ki uper gunah or zyadati k - Almayda:2
Is ayat me ek dusre ki madad karne ka hukm diya gayaa.

Ager madad karoge allaah k deen ki to madad karega wo tumhari = Muhammad:7
is me khud allaah tala ne jo k ghani hai apne bando c madad talab farmai

tum un per zarur imaan lana or un ki zarur madad karna - Al imraan:81
allaah k bando ki madad ka yashaaq ki deen c hukm hai.

Aur madad talab karo saath sabr or namaaz k - Albaqarah:45
Is me musalmano ko hukm diya gaya k namaz or sabr c madad hasil karo or namaz or sabr bhi to ghair allaah hai...

madad karo mere saath quwwat k - Kahf:95
is s malum hua k hazrat zulqarnain ne diwaar ahni banate waqt logo c madad talab farmai.

ay nabi! rab ne aap ko apni madad or musalmano k zariye quwwat bakhshi. - Alinfaal:62
ay nabi! aap ko allaah or aap k matii musalmaan kafi hai - Alinfaal:64
rasul k madadgaar allaah or jibrail or muttaqi musalmaan hai baad me farishte un k madadgaar hai - Tahreem:4


ai musalmaano! tumhara madadgaar allaah or rasul or wo musalmaan hai jo zakat dete hai namaz padhte hai - almaidah:55

musalmaan mard or musalmaan aurate ek dusre k madadgaar hai - altauba:71
ham tumhare madad gaar hai duniya ki zindagi me or akhirat ki zindagi me - Hameem sajdah:31

allah tala bhi madadgaar hai or musalmaan bhi aapas me ek dusry k mager allaah tala bizzaat madad gaar or ye bilarz.

musaa alihi salaam ko jab tableegh k liye firon k paas jane ka hukm hua to kaha
Khudaya mere bhai ko nabi banaker mera wazeer karde meri pusht ko un ki madad c mazbut karde. taha:31. Allaah tala ne ye naa farmaya k tum ne mere siwa kisi ka sahara kiu liya mai kiya kafi nahi hu, balke un ki darkhwast manzur farmaai, malum hua k bando ka sahara lena sunnat-e-ambiya hai.



Mishakwa babul sujud wa fazilah me rabiya ibn-e-kaab islami c bariwayat muslim hai k huzur swalallaahu alaihi wallam ne mujh c farmaya "kuch mang lo, maine kaha k mai aap c jannat me aap ki hamrahi mangataa hu, farmaya kuch or mang lo maine kaha sirf ye hi, farmaya k apne nafs per zyadah nawafil c meri madad karo"
is c sabit hua k hazrat rabiya ne huzur c jannat mangi to ye na farmaya k tumne khuda k siwa mujh c jannat mangli tum mushrik ho gay. balke farmaya wo to manzur hai kuch or bhi mango ye ghair khuda c mangana hai phir lutf ye hai k huzur swalallaahu alaihi wasallam bhi farmate hai k ay rabiya! tum bhi is kaam me meri itni madad karo k ziyadah nawafil padha ker ye bhi ghair allah talab madad hai.


or yousuf alaihisalam ne us shaks c kaha jise un dono me c rihai pane wala samjha k apne badshah k paas mera zikr kardena (shayad usee yaad ajay k ek or begunah bhi qaid me hai) mager shaitaan ne usee apne badshah k paas(wo) zikr karna bhula diya natija yousuf alihisalam kai saal tak qaid khane me thehre rahi - yousuf:42

musibat door karne k liye makhluq c madad lena jayz hai.


ay mariyam mai tumhare rab ka qasid hu aya hu take tum ko ek pak farzand du. maryam:19
malum hua k hazrat jibrail beta dete hai.

mai tumhare liye miti c parinde ki si surat banaunga phir us me phunk marunga to wo allaah k hukm c parinda ban jayga, or mai allah k hukm c madarzaad andhe or kodhi ko acha kardunga or murdo ko zinda kardunga or tumhe bataunga jo tum khate ho or jo tum apne gharo me zakhira karte ho, beshak us me tumhare liye ek nishan hai ager tum momin ho = Alimraan:49
malum hua k hazrat maseeh bazan ilahi be jaan ko jaan bakhshte hai...

maut ka farishta jo tum per muqarrar kiya gaya hai tumhe wafaat de gaa phir tum apne rab ki taraf luta diye jaogee - Alsajda:11
malum hua k hazrat izrail alaihisalaam jandaro ko bejaan karte hai.

hamare mehboob unko paak farmate hai or un ko kitab wo hikmat sikhate hai - alimraan:164

unko allaah or rasool ne apne fazal c ghani kar diya - Altauba:74
malum hua k hazur alihisalatuwassalaam har gandagi c paak bhi farmate hai or faqeero ko bhi ghani karte hai.

aap unke malo c sadqa wasul famaye or us c un ko paak farmadijiye - Tauba:103
malum hua k wo hi amal khuda k yaha qubul hai jo bargaahe risalat me manzur ho jay.

or kya achaa hota, ager wo us per razi hote jo allaah or us k rasul ne un ko diya or kehte hai k allaah ham ko kafi hai ab ham ko allaah apne fazal c or rasull denge- tauba:59
malum hua k rasul alihisalatuwassalaam dete hai, in ayat c malum hua k ager koi kahe k ham ko rasul allaah salallahu alaihiwasallam izzat dete hai maal or aulaad dete hai to sahih hai kiu k ayat ne ye bataya lekin maqsad wo hi hoga k ye hazrat hukumat-e-ilahiya k ehkaam hai, allaah tala ne ye unko diya ye ham ko dete hai, is tarah musibat k waqt auliya allaah ambiya karaam se madad mangana bhi isi tarah hua, jis tarah k bimari aor muqadme me badshaah ki ria ya docter c madad mangati hai.

ager ye gunehgar apni jano per zulm kar ke ay mehbood tumhare paas ajate or phir allahc maghfirat mangate or ay mehboob aap bhi un k liye duaymaghfirat farmateto ye allah ko tauba qubul karne wala maherbaan patee - Annisaa:64

No comments:

Post a Comment