Hazrat said bin abbas razi. se riwayat hai k huzur swalallaahu alaihi
wasallam ne farmaya "maiyyat k naam per fatihaa do k jale haddi hi per
ho" or hazrat masuud razi. se bhi riwayat hai k sarkar ne farmaya ta'aam
maujuda per murdo ko fatiha do or hazrat anaz razi. se bhi riwayat hai k
sarkar ne apne rubaru khana rakh k fatihaa di or us ka sawab murdo ko
pohchaya,(bahawalay shareh barzakhuzzamaa abu said malmi)
sarkar k sahabzade hazrat ibrahim a.s. ki wafat ke tisree din abu zar sahabi razi. ne chand sukhe khajur or dudh jis me ju ki roti churi hui thi sarkar k samne laker rakh diya huzur swalallahu alaihi wasallam ne sureh fatiha or teen qulhuallaah padh ker fatiha di or phir apne dono dast mubarak chehre mubarak per phair liye phir hukm kiya k abuzar razi. isko logo me taqseem kardalo or ek riwayat me hai k huzur swalallaahu alaihiwasallam ne farmaya k main ne is ka sawab apne bete ibrahim ko bakhsha hai.(abudaud or nisai or ibne majaa or ibne habban)
No comments:
Post a Comment